Shayari
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
husn ko kyaa dushmani hai ishq ko kyaa bair hai
apne hi qadmon ki khud hi Thokarein khaataa huun main
حسن کو کیا دشمنی ہے عشق کو کیا بیر ہے
اپنے ہی قدموں کی خود ہی ٹھوکریں کھاتا ہوں میں
हुस्न को क्या दुश्मनी है इश्क़ को क्या बैर है
अपने ही क़दमों की ख़ुद ही ठोकरें खाता हूँ मैं

sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
meri nigaah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tiraa shabaab tiraa hi shabaab hai
vo nazron hi nazron mein savaalaat ki duniyaa
vo aankhon hi aankhon mein javaabaat kaa aalam
nigaah-e-shauq ne mahshar mein saaf taaD liyaa
kahaan vo chhupte ki aankhon mein the samaae hue
ham kahin aate hain vaaiz tire bahkaane mein
isi maikhaane ki miTTi isi maikhaane mein
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'abas dil be-kasi pe apni tuun har vaqt rotaa hai
na kar gham ai divaane 'ishq mein aisaa hi hotaa hai
mohabbat zulf kaa aaseb jaadu hai nigaahon kaa
mohabbat fitna-e-mahshar balaa-e-naa-gahaani hai
'khaar' ulfat ki baat jaane do
zindagi kis ko saazgaar aai
ishq ke shoale ko bhaDkaao ki kuchh raat kaTe
dil ke angaare ko dahkaao ki kuchh raat kaTe