Shayari
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
sabhi andaaz-e-husn pyaare hain
ham magar saadgi ke maare hain
سبھی انداز حسن پیارے ہیں
ہم مگر سادگی کے مارے ہیں
सभी अंदाज़-ए-हुस्न प्यारे हैं
हम मगर सादगी के मारे हैं

aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
meri nigaah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tiraa shabaab tiraa hi shabaab hai
vo nazron hi nazron mein savaalaat ki duniyaa
vo aankhon hi aankhon mein javaabaat kaa aalam
nigaah-e-shauq ne mahshar mein saaf taaD liyaa
kahaan vo chhupte ki aankhon mein the samaae hue
ham kahin aate hain vaaiz tire bahkaane mein
isi maikhaane ki miTTi isi maikhaane mein
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
sakht jaan-levaa hai saadgi mohabbat ki
zahr ki kasauTi par zindagi ko kasti hai
ishq khud apni jagah mazhar-e-anvaar-e-khudaa
aql is soch mein gum kis ko khudaa kahte hain
ye maajraa-e-mohabbat samajh mein aa na sakaa
vo haath aae to main haath unhein lagaa na sakaa
imaarat dair o masjid ki bani hai iinT o patthar se
dil-e-viraana ki kis chiiz se taamir hoti hai