Shayari
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
vo khalish jis se thaa hangaama-e-hasti barpaa
vaqf-e-betaabi-e-khaamosh hui jaati hai
وہ خلش جس سے تھا ہنگامۂ ہستی برپا
وقف بیتابئ خاموش ہوئی جاتی ہے
तेरी बातों से आज तो वाइज़
वो जो थी ख़्वाहिश-ए-नजात गई

sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
vo nazron hi nazron mein savaalaat ki duniyaa
vo aankhon hi aankhon mein javaabaat kaa aalam
meri nigaah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tiraa shabaab tiraa hi shabaab hai
ham kahin aate hain vaaiz tire bahkaane mein
isi maikhaane ki miTTi isi maikhaane mein
mire rashk-e-be-nihaayat ko na puchh mere dil se
tujhe tujh se bhi chhupaataa agar ikhtiyaar hotaa
nigaah-e-shauq ne mahshar mein saaf taaD liyaa
kahaan vo chhupte ki aankhon mein the samaae hue
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
kabhi mileinge jo raaste mein to munh phiraa kar palaT paDeinge
kahin suneinge jo naam teraa to chup raheinge nazar jhukaa ke
khudaa jaane 'asar' ko kyaa huaa hai
rahaa kartaa hai chup do do pahar tak
khaamosh khaDaa huun main dar-e-khvaab se baahar
kyaa jaaniye kab tak isi haalat mein rahungaa
dulhaa aur dulhan ki umrein puchhin to maalum huaa
pachpan saal ki laDki hai aur saaTh baras kaa laDkaa hai