Shayari
main saamne huun abhi guftugu karo mujh se
ki baad mein miri tasvir dekhte rahnaa
sach puchho to ham ko hamaari
aankhon ne barbaad kiyaa hai
سچ پوچھو تو ہم کو ہماری
آنکھوں نے برباد کیا ہے
सच पूछो तो हम को हमारी
आँखों ने बर्बाद किया है

main saamne huun abhi guftugu karo mujh se
ki baad mein miri tasvir dekhte rahnaa
dastur hi alag hai tiri bazm-e-naaz kaa
ilzaam de ke kah diyaa ilzaam hi to hai
usi ke chehre pe aankhein hamaari rah jaaein
kisi ko itnaa bhi kyaa dekhnaa zaruri hai
khudaa kaa shukr hai is raabte par
use manzil mujhe rasta banaayaa
tamaam raat main khud se savaal karti rahi
jise chhuaa ho haqiqat mein khvaab kaise huaa
us se baatein to bahut karni thiin par soch liyaa
us ki har baat pe kahnaa hai koi baat nahin
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad