Shayari
har soch mein sangin fazaaon kaa fasaana
har fikr mein shaamil huaa tahrir kaa maatam
zaruri to nahin ik fasl-e-gul ho
junun ke aur bhi mausam bahut hain
ضروری تو نہیں اک فصل گل ہو
جنوں کے اور بھی موسم بہت ہیں
ज़रूरी तो नहीं इक फ़स्ल-ए-गुल हो
जुनूँ के और भी मौसम बहुत हैं

har soch mein sangin fazaaon kaa fasaana
har fikr mein shaamil huaa tahrir kaa maatam
aah to ab bhi dil se uThti hai
lekin us mein asar nahin hotaa
parvaaz mein thaa amn kaa maasum parinda
sunte hain ki be-chaara shajar tak nahin pahunchaa
ek nazar mein us ne har ik dil ko jiit liyaa
ek nazar mein us ke ho gae jaane kitne log
main ki tere dhyaan mein gum thaa
duniyaa mujh ko DhunDh rahi thi
muddat se mohabbat ke safar mein huun 'karaamat'
lekin abhi chaahat ke nagar tak nahin pahunchaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
baad-e-bahaar mein sab aatish junun ki hai
har saal aavati hai garmi mein fasl-e-holi
chaman kaa shahr fasl-e-gul mein jab aabaad thaa 'uzlat'
sabaa ke rang mein gul-gasht kar hazz-e-junun paayaa