Shayari
teri tarah zabaan ke kuchh tez ham bhi hain
par masala ye hai ki adab jaante hain ham
pahle honaa thaa aaina dil ko
aur phir chur-chur honaa thaa
پہلے ہونا تھا آئنہ دل کو
اور پھر چور چور ہونا تھا
पहले होना था आइना दिल को
और फिर चूर-चूर होना था

teri tarah zabaan ke kuchh tez ham bhi hain
par masala ye hai ki adab jaante hain ham
us ke siyaah nain ki jaa kar nazar utaar
maare hasad ke chuur huiin surma-daaniyaan
shaayad vo is binaa pe hamein bakhsh de ki ham
kaafir bane rahe pa munaafiq nahin hue
chalo maanaa ki khvaabon mein miloge
magar tum bin kise niind aa rahi hai
log meri ghazlon mein tum ko DhunD lete hain
she'r-o-shaa'iri kab hai daastaan tumhaari hai
mashhur ho chuki hai kisi ke labon ki baat
akhbaar-e-dil-baraan ki sabhi surkhiyaan paDho
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein