Shayari
yaad karne pe bhi dost aae na yaad
doston ke karam yaad aate rahe
haTaae the jo raah se doston ki
vo patthar mire ghar mein aane lage hain

yaad karne pe bhi dost aae na yaad
doston ke karam yaad aate rahe
jhunjhlaae hain lajaae hain phir muskuraae hain
kis ehtimaam se unhein ham yaad aae hain
ishq ke kaarobaar ko aksar
garmi-e-kaarobaar le Duubi
ik aansu kah gayaa sab haal dil kaa
na samjhaa thaa ye zaalim be-zabaan hai
chaar din kaa hi saath thaa lekin
zindagi ai 'khumaar' le Duubi
mire raahbar mujh ko gumraah kar de
sunaa hai ki manzil qarib aa gai hai
saare jahaan se achchhaa hindostaan hamaaraa
ham bulbulein hain is ki ye gulsitaan hamaaraa
dost-daar-e-dushman hai e'timaad-e-dil maalum
aah be-asar dekhi naala naa-rasaa paayaa
khud apne se milne kaa to yaaraa na thaa mujh mein
main bhiiD mein gum ho gai tanhaai ke Dar se
sau sau umidein bandhti hai ik ik nigaah par
mujh ko na aise pyaar se dekhaa kare koi
tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhte ho 'faraaz'
dost hotaa nahin har haath milaane vaalaa
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue