Shayari
ne gul ko hai sabaat na ham ko hai e'tibaar
kis baat par chaman havas-e-rang-o-bu karein
band ahkaam-e-aql mein rahnaa
ye bhi ik naua ki himaaqat hai
بند احکام عقل میں رہنا
یہ بھی اک نوع کی حماقت ہے
बंद अहकाम-ए-अक़्ल में रहना
ये भी इक नौअ' की हिमाक़त है

ne gul ko hai sabaat na ham ko hai e'tibaar
kis baat par chaman havas-e-rang-o-bu karein
tujhi ko jo yaan jalva-farmaa na dekhaa
baraabar hai duniyaa ko dekhaa na dekhaa
baagh-e-jahaan ke gul hain yaa khaar hain to ham hain
gar yaar hain to ham hain aghyaar hain to ham hain
aankhein bhi haae nazaa mein apni badal gaiin
sach hai ki bekasi mein koi aashnaa nahin
yak-ba-yak naam le uThaa meraa
ji mein kyaa us ke aa gayaa hogaa
saaqi mire bhi dil ki taraf Tuk nigaah kar
lab-tishna teri bazm mein ye jaam rah gayaa
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
bas tiraa huun ye soch kar barson
main ne apnaa khayaal rakkhaa hai
bhaag chalun yaadon ke zindaan se akasr sochaa lekin
jab bhi qasd kiyaa to dekhaa unchi hai divaar bahut
haq baat sar-e-bazm bhi kahne mein taammul
haq baat sar-e-daar kaho sochte kyaa ho
aisaa na ho ki dosti bhi jaae haath se
ham haath mein gulaab liye sochte rahe