Shayari
sach ghaTe yaa baDhe to sach na rahe
jhuuT ki koi intihaa hi nahin
yahi milne kaa samay bhi hai bichhaDne kaa bhi
mujh ko lagtaa hai bahut apne se Dar shaam ke baad
یہی ملنے کا سمے بھی ہے بچھڑنے کا بھی
مجھ کو لگتا ہے بہت اپنے سے ڈر شام کے بعد
यही मिलने का समय भी है बिछड़ने का भी
मुझ को लगता है बहुत अपने से डर शाम के बाद

sach ghaTe yaa baDhe to sach na rahe
jhuuT ki koi intihaa hi nahin
itne hisson mein baT gayaa huun main
mere hisse mein kuchh bachaa hi nahin
jitne mausam hain sabhi jaise kahin mil jaaein
in dinon kaise bataaun jo fazaa hai mujh mein
mausam hain do hi ishq ke surat koi bhi ho
hain us ke paas aaine hijr-o-visaal ke
ho vaapsi agar to inhein raaston se ho
jin raaston se pyaar tiraa le gayaa mujhe
main jis ke haath mein ik phuul de ke aayaa thaa
usi ke haath kaa patthar miri talaash mein hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
mujh mein khud meri adam-maujudgi shaamil rahi
varna is maahaul mein jiinaa baDaa dushvaar thaa
aakhiri parinde ki Dubti hui aavaaz
shaam hone vaali hai ab hamein ijaazat hai