Shayari
dayaar-e-mir-taqi-'mir' ko salaam karo
yahaan khudaa-e-sukhan gaah gaah baiThte hain
mere allaah mujhe aise khayaalon se navaaz
vo jinhein mir-taqi-'mir' nahin soch sakaa
میرے اللہ مجھے ایسے خیالوں سے نواز
وہ جنہیں میر تقی میرؔ نہیں سوچ سکا
मेरे अल्लाह मुझे ऐसे ख़यालों से नवाज़
वो जिन्हें मीर-तक़ी-'मीर' नहीं सोच सका

jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maango samundaron se na saahil ki bhiik tum
haan fikr o fan ke vaaste gahraai maang lo
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
shaagird-e-rashid aap saa huun shaikh-ji saahib
kuchh ilm o amal tum ne na shaitaan mein chhoDaa