Shayari
vo apne ‘abd-e-haqiqi ko aazmaataa hai
har ik bashar kaa yahaan imtihaan nahin hotaa
chhoD aayaa putliyaan subh-e-banaaras jhiil par
dil hamesha ke liye shaam-e-avadh mein rakh diyaa
چھوڑ آیا پتلیاں صبح بنارس جھیل پر
دل ہمیشہ کے لیے شام اودھ میں رکھ دیا
छोड़ आया पुतलियाँ सुब्ह-ए-बनारस झील पर
दिल हमेशा के लिए शाम-ए-अवध में रख दिया

vo apne ‘abd-e-haqiqi ko aazmaataa hai
har ik bashar kaa yahaan imtihaan nahin hotaa
vaqt ke paanv bhi nahin mehvar
aur raftaar bhi ghazab ki hai
ghaur se dekhnaa hanste hue chehre ki taraf
ek manzar pas-e-manzar kai manzar degaa
aaj gar bole nahin haq baat par
kal sitam honge tumhaari zaat par
ulfat to dekhiye miri didaar ke sabab
darvesh ban ke yaar ki chaukhaT pe aa gayaa
ek muddat se niind taari hai
ek muddat se so nahin paae
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
pahli nazar bhi aap ki uff kis balaa ki thi
ham aaj tak vo choT hain dil par liye hue
dil ki haalat se khabar deti hai
'asar' aashufta-bayaani meri
surat chhupaaiye kisi surat-parast se
ham dil mein naqsh aap ki tasvir kar chuke
dil ko har lamha bachaate rahe jazbaat se ham
itne majbur rahe hain kabhi haalaat se ham