Shayari
'majruh' likh rahe hain vo ahl-e-vafaa kaa naam
ham bhi khaDe hue hain gunahgaar ki tarah
sar par havaa-e-zulm chale sau jatan ke saath
apni kulaah kaj hai usi baankpan ke saath
سر پر ہوائے ظلم چلے سو جتن کے ساتھ
اپنی کلاہ کج ہے اسی بانکپن کے ساتھ
सर पर हवा-ए-ज़ुल्म चले सौ जतन के साथ
अपनी कुलाह कज है उसी बाँकपन के साथ

'majruh' likh rahe hain vo ahl-e-vafaa kaa naam
ham bhi khaDe hue hain gunahgaar ki tarah
dast-e-pur-khun ko kaf-e-dast-e-nigaaraan samjhe
qatl-gah thi jise ham mahfil-e-yaaraan samjhe
main ki ek mehnat-kash main ki tirgi-dushman
subh-e-nau ibaarat hai mere muskuraane se
tishnagi hi tishnagi hai kis ko kahiye mai-kada
lab hi lab ham ne to dekhe kis ko paimaana kahein
paara-e-dil hai vatan ki sarzamin mushkil ye hai
shahr ko viraan yaa is dil ko viraana kahein
bahaane aur bhi hote jo zindagi ke liye
ham ek baar tiri aarzu bhi kho dete