Shayari
'majruh' likh rahe hain vo ahl-e-vafaa kaa naam
ham bhi khaDe hue hain gunahgaar ki tarah
dast-e-pur-khun ko kaf-e-dast-e-nigaaraan samjhe
qatl-gah thi jise ham mahfil-e-yaaraan samjhe
دست پر خوں کو کف دست نگاراں سمجھے
قتل گہہ تھی جسے ہم محفل یاراں سمجھے
दस्त-ए-पुर-ख़ूँ को कफ़-ए-दस्त-ए-निगाराँ समझे
क़त्ल-गह थी जिसे हम महफ़िल-ए-याराँ समझे

'majruh' likh rahe hain vo ahl-e-vafaa kaa naam
ham bhi khaDe hue hain gunahgaar ki tarah
main ki ek mehnat-kash main ki tirgi-dushman
subh-e-nau ibaarat hai mere muskuraane se
tishnagi hi tishnagi hai kis ko kahiye mai-kada
lab hi lab ham ne to dekhe kis ko paimaana kahein
paara-e-dil hai vatan ki sarzamin mushkil ye hai
shahr ko viraan yaa is dil ko viraana kahein
be-tesha-e-nazar na chalo raah-e-raftagaan
har naqsh-e-paa buland hai divaar ki tarah
bahaane aur bhi hote jo zindagi ke liye
ham ek baar tiri aarzu bhi kho dete
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
chhin lenaa yaa-khudaa mujh se mire lauh-o-qalam
gar zavaal aae mire ashaar ke meaar mein
na puchh kaise guzarti hai zindagi ai dost
baDi tavil kahaani hai phir kabhi ai dost
kuchh log ibtidaa-e-rifaaqat se qabl hi
aainda ke har ek guzishta tak aa gae
dosti ishq aur vafaadaari
sakht jaan mein bhi narm goshe hain
dost ban ban ke mile mujh ko miTaane vaale
main ne dekhe hain kai rang zamaane vaale