Shayari
yuun chaar din ki bahaaron ke qarz utaare gae
tumhaare baa'd ke mausam faqat guzaare gae
raat be-sudh ho ke soegi yahaan
is liye suraj ne parda kar liyaa
رات بے سدھ ہو کے سوئے گی یہاں
اس لئے سورج نے پردہ کر لیا
रात बे-सुध हो के सोएगी यहाँ
इस लिए सूरज ने पर्दा कर लिया

shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
main tire jism ke jab paar nikal jaaungaa
vasl ki raat baDi ghaur-talab hogi vo
ye zindagi ki raat hai taarik kis qadar
donon siron pe shama jalaao nashe mein aao
baad taklif ke raahat hai yaqini 'vaahid'
raat kaa aanaa hi paighaam-e-sahar hotaa hai