Shayari
ik makaan aur bulandi pe banaane na diyaa
ham ko parvaaz kaa mauqaa hi havaa ne na diyaa
hamaare dil pe jo zakhmon kaa baab likkhaa hai
isi mein vaqt kaa saaraa hisaab likkhaa hai
ہمارے دل پہ جو زخموں کا باب لکھا ہے
اسی میں وقت کا سارا حساب لکھا ہے
हमारे दिल पे जो ज़ख़्मों का बाब लिक्खा है
इसी में वक़्त का सारा हिसाब लिक्खा है

ik makaan aur bulandi pe banaane na diyaa
ham ko parvaaz kaa mauqaa hi havaa ne na diyaa
aankh bhar aai kisi se jo mulaaqaat hui
khushk mausam thaa magar TuuT ke barsaat hui
aap hi ki hai adaalat aap hi munsif bhi hain
ye to kahiye aap ke aib-o-hunar dekhegaa kaun
baap bojh Dhotaa thaa kyaa jahez de paataa
is liye vo shahzaadi aaj tak kunvaari hai
kah do 'mir'-o-'ghaalib' se ham bhi sher kahte hain
vo sadi tumhaari thi ye sadi hamaari hai
unhin pe saare masaaib kaa bojh rakkhaa hai
jo tere shahr mein imaan le ke aae hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil mein chaahat hai jo us saanvli matvaali ki
go musalmaan huun bol uThtaa huun jai kaali ki
ab bhi kuchh dil mein raunat ki jhalak baaqi hai
yaa-khudaa phir kisi bad-khu se mohabbat ho jaae
ai mohtasib namaaz-e-mohabbat kaa vaqt hai
dil baa-vuzu hai aur ghazal keh rahaa huun main
utaaraa dil ke varaq par to kitnaa pachhtaayaa
vo intisaab jo pahle bas ik kitaab pe thaa