Shayari
kaun suntaa hai havaaon ki ajab sargoshiyaan
aur jaati hain havaaein dar-ba-dar kis ke liye
avval-e-ishq ki saaat jaa kar phir nahin aai
phir koi mausam pahle mausam saa nahin dekhaa
اول عشق کی ساعت جا کر پھر نہیں آئی
پھر کوئی موسم پہلے موسم سا نہیں دیکھا
अव्वल-ए-इश्क़ की साअत जा कर फिर नहीं आई
फिर कोई मौसम पहले मौसम सा नहीं देखा

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
mere jaise ban jaaoge jab ishq tumhein ho jaaegaa
divaaron se sar Takraaoge jab ishq tumhein ho jaaegaa