Shayari
har sang mein sharaar hai tere zuhur kaa
muusaa nahin jo sair karun koh-e-tur kaa
'saudaa' jo tiraa haal hai itnaa to nahin vo
kyaa jaaniye tu ne use kis aan mein dekhaa
سوداؔ جو ترا حال ہے اتنا تو نہیں وہ
کیا جانیے تو نے اسے کس آن میں دیکھا
'सौदा' जो तिरा हाल है इतना तो नहीं वो
क्या जानिए तू ने उसे किस आन में देखा

har sang mein sharaar hai tere zuhur kaa
muusaa nahin jo sair karun koh-e-tur kaa
jab yaar ne uThaa kar zulfon ke baal baandhe
tab main ne apne dil mein laakhon khayaal baandhe
fikr-e-maaash ishq-e-butaan yaad-e-raftagaan
is zindagi mein ab koi kyaa kyaa kiyaa kare
na kar 'saudaa' tu shikva ham se dil ki be-qaraari kaa
mohabbat kis ko deti hai miyaan aaraam duniyaa mein
saaqi gai bahaar rahi dil mein ye havas
tu minnaton se jaam de aur main kahun ki bas
ye to nahin kahtaa huun ki sach-much karo insaaf
jhuTi bhi tasalli ho to jiitaa hi rahun main
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
ruuh kis mast ki pyaasi gai mai-khaane se
mai uDi jaati hai saaqi tire paimaane se
aag to chaaron hi jaanib thi par achchhaa ye hai
hosh-mandi se kisi chiiz ko jalne na diyaa