Shayari
itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
khud ko barbaad kar ke dekhnaa thaa
khud ko barbaad kar ke dekh liyaa
خود کو برباد کر کے دیکھنا تھا
خود کو برباد کر کے دیکھ لیا
ख़ुद को बर्बाद कर के देखना था
ख़ुद को बर्बाद कर के देख लिया

itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
vo chaahte hain ki har baat maan li jaae
aur ek main huun ki har baat kaaT detaa huun
ab eatibaar nahin meri jaan kisi kaa nahin
charaagh sab ke liye hai dhuaan kisi kaa nahin
havas ki dhuup mein phailaa hai shor-e-khalq-e-khudaa
sunaa kisi ne nahin bastiyon mein girya-e-khaak
bichhaDte vaqt kahnaa thaa bahut kuchh
main kyaa kahtaa judaa hone se pahle
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
anaa kaa sirf mohabbat ilaaj hai 'aafaaq'
tu nok vaale musallas ko daaere mein milaa
ham ne ye maanaa ki paidaa ho gayaa khaaegaa kyaa
ghar mein daane hi na paaegaa to bhunvaaegaa kyaa
nashtar-e-'mir' hain tiri baatein
phuljhaDi-vuljhaDi nahin jaanaan
hashr tak be-gunahi naaz karegi mujh par
vo miraa teri nigaahon mein buraa ho jaanaa