Shayari
main tishna-labi par bhi rahaa khush ki miraa zarf
khaali hai magar soch se logon ki baDaa hai

Saddam Husain Muzmar
Saddam Husain Muzmar
main tishna-labi par bhi rahaa khush ki miraa zarf
khaali hai magar soch se logon ki baDaa hai
phuul lagte hain zaraa der se avval avval
shaakh-e-gul par bhi miyaan khaar hi lagte hain naa
nashtar-e-'mir' hain tiri baatein
phuljhaDi-vuljhaDi nahin jaanaan
tum ko jiine ke bhi aate nahin atvaar magar
ham ko marne ke bhi me'yaar samajh aate hain
ek khitte mein rahaa pyaas kaa 'aalam barpaa
ek khitte mein bahut TuuT ke barsaa paani
ab to khvaahish bhi yahi hai ki hamaare hisse
hijr aayaa hai faqat hijr hi aataa jaae
mauj-e-dariyaa kaa koi khauf nahin hai lekin
hain tabi'at pe giraan-baar kinaare is ke