Shayari
ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
liye phiraa jo mujhe dar-ba-dar zamaane mein
khayaal tujh ko dil-e-be-qaraar kis kaa thaa
لیے پھرا جو مجھے در بہ در زمانے میں
خیال تجھ کو دل بے قرار کس کا تھا
लिए फिरा जो मुझे दर-ब-दर ज़माने में
ख़याल तुझ को दिल-ए-बे-क़रार किस का था

ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
sukhan mein sahl nahin jaan nikaal kar rakhnaa
ye zindagi hai hamaari sambhaal kar rakhnaa
shaayad ki khudaa mein aur mujh mein
ik jast kaa aur faasla hai
tum ham-safar hue to hui zindagi aziiz
mujh mein to zindagi kaa koi hausla na thaa
jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi
sochtaa jaaun magar dil mein basaae jaaun
laai hai ab uDaa ke gae mausamon ki baas
barkhaa ki rut kaa qahr hai aur ham hain dosto
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
bikherte raho sahraa mein biij ulfat ke
ki biij hi to ubhar kar shajar banaate hain
ishq mein kyaa nuqsaan nafa hai ham ko kyaa samjhaate ho
ham ne saari umr hi yaaro dil kaa kaarobaar kiyaa
jaan khapaate hain gham-e-ishq mein khush khush 'aali'
kaisi lazzat kaa ye aazaar banaayaa huaa hai
vatan ki sar-zamin se ishq-o-ulfat ham bhi rakhte hain
khaTakti jo rahe dil mein vo hasrat ham bhi rakhte hain