Shayari
unhin se martaba milaa hayaat ko mamaat ko
jo goliyon ke biich haq ki baat kahte aae hain
N
Narwatam Lal Bahar Lakhnavijo bul-havas the haT gae sahm gae simaT gae
jo TuuT gae vo ishq ko hayaat kahte aae hain
جو بو الہوس تھے ہٹ گئے سہم گئے سمٹ گئے
جو ٹوٹ گئے وہ عشق کو حیات کہتے آئے ہیں
जो बुल-हवस थे हट गए सहम गए सिमट गए
जो टूट गए वो इश्क़ को हयात कहते आए हैं
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat ki to koi had, koi sarhad nahin hoti
hamaare darmiyaan ye faasle, kaise nikal aae
Tapak ke dida-e-nam se sadaaein detaa hai
jo ek harf-e-tamannaa dil-e-tabaah mein thaa
'abas dil be-kasi pe apni tuun har vaqt rotaa hai
na kar gham ai divaane 'ishq mein aisaa hi hotaa hai
kisi ke ishq mein barbaad honaa
hamein aayaa nahin farhaad honaa