Shayari
mujh ko maalum ki hai tujh ko bahaaron ki talaash
meri duniyaa mein magar phuul nahin kaanTe hain
N
Nazeer Mohsinmeri ghairat ko mohabbat ki taraazu pe na taul
imtihaan is se baDaa aur na hogaa koi
میری غیرت کو محبت کی ترازو پہ نہ تول
امتحاں اس سے بڑا اور نہ ہوگا کوئی
मेरी ग़ैरत को मोहब्बत की तराज़ू पे न तौल
इम्तिहाँ इस से बड़ा और न होगा कोई
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
bahnon ki mohabbat ki hai azmat ki alaamat
raakhi kaa hai tyauhaar mohabbat ki alaamat
tujh se ab aur mohabbat nahin ki jaa sakti
khud ko itni bhi aziyyat nahin di jaa sakti
ek rishta bhi mohabbat kaa agar TuuT gayaa
dekhte dekhte shiraaza bikhar jaataa hai
nazaakat hai bahut is mein magar ye jaantaa huun main
mohabbat jis ko ho jaati hai urdu siikh jaataa hai