Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
bahnon ki mohabbat ki hai azmat ki alaamat
raakhi kaa hai tyauhaar mohabbat ki alaamat
بہنوں کی محبت کی ہے عظمت کی علامت
راکھی کا ہے تہوار محبت کی علامت
बहनों की मोहब्बत की है अज़्मत की अलामत
राखी का है त्यौहार मोहब्बत की अलामत
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain
mohabbat karne vaale dard mein tanhaa nahin hote
jo ruThoge kabhi mujh se to apnaa dil dukhaaoge