Shayari
is baar intizaam to sardi kaa ho gayaa
kyaa haal peD kaTte hi basti kaa ho gayaa
aap ki saada-dili se tang aa jaataa huun main
mere dil mein rah chuke hain is qadar hushyaar log
آپ کی سادہ دلی سے تنگ آ جاتا ہوں میں
میرے دل میں رہ چکے ہیں اس قدر ہشیار لوگ
आप की सादा-दिली से तंग आ जाता हूँ मैं
मेरे दिल में रह चुके हैं इस क़दर हुश्यार लोग

is baar intizaam to sardi kaa ho gayaa
kyaa haal peD kaTte hi basti kaa ho gayaa
vo saanp jis ne mujhe aaj tak Dasaa bhi nahin
tamaam zahr sukhan mein mire usi kaa hai
phir is mazaaq ko jamhuriyat kaa naam diyaa
hamein Daraane lage vo hamaari taaqat se
apni aahaT pe chaunktaa huun main
kis ki duniyaa mein aa gayaa huun main
vo tanz ko bhi husn-e-talab jaan khush hue
ulTaa paDhaa gayaa, miraa paighaam aur thaa
bas tire aane ki ik afvaah kaa aisaa asar
kaise kaise log the bimaar achchhe ho gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
tar rakhiyo sadaa yaa-rab tu is mizha-e-tar ko
ham itr lagaate hain garmi mein isi khas kaa
ham ko 'riyaaz' jaante hain maante hain sab
hindostaan mein dhuum hamaari zabaan ki hai
main jab 'qatil' apnaa sab kuchh luTaa chukaa huun
ab meraa pyaar mujh se daanaai chaahtaa hai
main dil-e-girafta tujhe gungunaataa rahtaa huun
bahut dinon se mire yaar zer-e-lab hai tu
yaar ke aage paDhaa ye rekhta jaa kar 'nazir'
sun ke bolaa vaah-vaah achchhaa kahaa achchhaa kahaa