Shayari
us ke bachche nahin thakte mujhe maamun kahte
jis ki jaanib miraa rujhaan thaa achchhaa-khaasaa
O
Osama Muneeritnaa soch lo sach ki raah pe chalne se pahle
is ke to har ek qadam par khaDDaa hotaa hai
اتنا سوچ لو سچ کی راہ پہ چلنے سے پہلے
اس کے تو ہر ایک قدم پر کھڈا ہوتا ہے
इतना सोच लो सच की राह पे चलने से पहले
इस के तो हर एक क़दम पर खडा होता है
us ke bachche nahin thakte mujhe maamun kahte
jis ki jaanib miraa rujhaan thaa achchhaa-khaasaa
shaikh-saahab ne masaail mein jakaD rakkhaa hai
varna islaam to aasaan thaa achchhaa-khaasaa
us ki ammaan se pareshaan na thaa main hi faqat
meraa abbaa bhi pareshaan thaa achchhaa-khaasaa
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ikaTThe kar ke teri dusri tasvir khinchungaa
vo sab jalve jo chhan chhan kar tiri chilman se nikleinge
kitnaa sochaa thaa dil lagaaeinge
sochte sochte hayaat hui
apni zabaan to band hai tum khud hi soch lo
paDtaa nahin hai yunhi sitam-gar kisi kaa naam
soch un ki kaisi hai kaise hain ye divaane
ik makaan ki khaatir jo sau makaan jalaate hain