Shayari
mai pi jo chaahe aatish-e-dozakh se tu najaat
jaltaa nahin vo uzv jo tar ho sharaab mein
Q
Qayem Chaandpurivahshat-e-dil koi shahron mein samaa sakti hai
kaash le jaae junun su-e-bayaabaan mujh ko
وحشت دل کوئی شہروں میں سما سکتی ہے
کاش لے جائے جنوں سوئے بیاباں مجھ کو
वहशत-ए-दिल कोई शहरों में समा सकती है
काश ले जाए जुनूँ सू-ए-बयाबाँ मुझ को
mai pi jo chaahe aatish-e-dozakh se tu najaat
jaltaa nahin vo uzv jo tar ho sharaab mein
kahtaa hai aaina ki hai tujh saa hi ek aur
baavar nahin to laa main tire ru-ba-ru karun
gandumi rang jo hai duniyaa mein
meri chhaati pe muung daltaa hai
iraad kar na paDh ke miraa khat ki ye tamaam
be-rabtiyaan hain samra-e-hangaam-e-ishtiyaaq
koi din aage bhi zaahid ajab zamaana thaa
har ik mohalle ki masjid sharaab-khaana thaa
TuuTaa jo kaaba kaun si ye jaa-e-gham hai shaikh
kuchh qasr-e-dil nahin ki banaayaa na jaaegaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
qalam hai haath mein kirdaar bhi mire bas mein
agar main chaahun kahaani badal bhi saktaa huun