Shayari
main abhi us ke tasavvur mein magan huun 'raashid'
vo bhi aa jaae to kah do abhi baahar Thahre
aag barsaae khushi se koi suraj se kaho
main koi mom nahin huun ki pighal jaaungaa
آگ برسائے خوشی سے کوئی سورج سے کہو
میں کوئی موم نہیں ہوں کہ پگھل جاؤں گا
आग बरसाए ख़ुशी से कोई सूरज से कहो
मैं कोई मोम नहीं हूँ कि पिघल जाऊँगा

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
rang ho raushni ho yaa khushbu
sab mein partav usi hasin ke hain
jaane kyaa kah rahaa thaa vo mujh se
main ne bhi kah diyaa ki khush huun main
ajab kuchh ishq ki khush-tar hai vaadi
ki jis vaadi mein hai har vaqt shaadi
vahshat nahin hai raqs-e-masarrat hai dasht mein
peDon ki shakl mein ye mire chaar-su ho tum