Shayari
millat ki aabru ko milaataa hai khaak mein
leader hamaaraa kitnaa baDaa khaaksaar hai
sukhe peDon ki tarah ye leader
ham pe saaya zaraa nahin karte
سوکھے پیڑوں کی طرح یہ لیڈر
ہم پہ سایہ ذرا نہیں کرتے
सूखे पेड़ों की तरह ये लीडर
हम पे साया ज़रा नहीं करते

millat ki aabru ko milaataa hai khaak mein
leader hamaaraa kitnaa baDaa khaaksaar hai
nahin hai bahr mein be-vazn hai 'rahim' magar
hamaari shaairi sur mein hai aur taal mein hai
milegi seat election mein aap ko ik din
agar ye chamcha-gari kaamyaab ho jaae
hai bajaT ghaaTe mein jurmaane zaruri hain yahaan
is liye sarkaar meri luuT kar khaane ko hai
qaail hain zaaiqe ke gharaz kyaa hai rang se
dastar pe dekhte hi nahin ham mutton kaa rang
nurse ko dekh ke aa jaati hai munh pe raunaq
vo samajhte hain ki bimaar kaa haal achchhaa hai
maut ko ham ne kabhi kuchh nahin samjhaa magar aaj
apne bachchon ki taraf dekh ke Dar jaate hain
ik adhuraa khvaab jo aksar Daraataa thaa mujhe
teraa jaanaa us adhure khvaab ki taa'bir hai
is qadar Dar hai maut kaa us ko
jaan de degaa zindagi ke liye
duur tak phailaa huaa hai ek an-jaanaa saa khauf
is se pahle ye samundar is qadar barham na thaa
hasin rut hai magar kaun ghar se niklegaa
har ik badan mein samaayaa huaa hai Dar ab ke
vo ek shor saa zindaan mein raat bhar kyaa thaa
mujhe khud apne badan mein kisi kaa Dar kyaa thaa