Shayari
behtar hai ab duur raho tum Tesu ke in phulon se
shokh bahut hai in ki surkhi aaina dikhlaae to
haalaat-e-khun-aashaam se ghaafil nahin lekin
ai zulm tire haath pe baiat nahin karte
حالات خوں آشام سے غافل نہیں لیکن
اے ظلم ترے ہاتھ پہ بیعت نہیں کرتے
हालात-ए-ख़ूँ-आशाम से ग़ाफ़िल नहीं लेकिन
ऐ ज़ुल्म तिरे हाथ पे बैअ'त नहीं करते

behtar hai ab duur raho tum Tesu ke in phulon se
shokh bahut hai in ki surkhi aaina dikhlaae to
in darakhton se bhi naata joDiye
jin darakhton kaa koi saaya nahin
saikDon pul bane faasle bhi miTe
aadmi aadmi se judaa hi rahaa
gali gali mein takalluf ki dhuul hoti hai
ab apnaa shahar bhi lagtaa hai ajnabi ki tarah
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa