Shayari
ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jaae
khudi mein lutf vo aae ki be-khudi ho jaae
dekhiyegaa sambhal kar aaina
saamnaa aaj hai muqaabil kaa
دیکھئے گا سنبھل کر آئینہ
سامنا آج ہے مقابل کا
dekhiyegā sambhal kar ā.īna
sāmnā aaj hai muqābil kā

ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jaae
khudi mein lutf vo aae ki be-khudi ho jaae
sayyaad teraa ghar mujhe jannat sahi magar
jannat se bhi sivaa mujhe raahat chaman mein thi
khudaa ke haath hai biknaa na biknaa mai kaa ai saaqi
baraabar masjid-e-jaame ke ham ne ab dukaan rakh di
baDe paak tinat baDe saaf baatin
'riyaaz' aap ko kuchh hamin jaante hain
ye sar-ba-mohr botalein hain jo sharaab ki
raatein hain un mein band hamaari shabaab ki
vo joban bahut sar uThaae hue hain
bahut tang band-e-qabaa hai kisi kaa