Shayari
dost ban ban ke mile mujh ko miTaane vaale
main ne dekhe hain kai rang zamaane vaale
koi mojazaati saa ek dil-rubaa lamha
us ke honT khul jaaein mere lab pe taalaa ho
کوئی معجزاتی سا ایک دل ربا لمحہ
اس کے ہونٹ کھل جائیں میرے لب پہ تالا ہو
कोई मोजज़ाती सा एक दिल-रुबा लम्हा
उस के होंट खुल जाएँ मेरे लब पे ताला हो

dost ban ban ke mile mujh ko miTaane vaale
main ne dekhe hain kai rang zamaane vaale
tum nahin gham nahin sharaab nahin
aisi tanhaai kaa javaab nahin
gaahe gaahe ise paDhaa kijiye
dil se behtar koi kitaab nahin
rusvaai to vaise bhi taqdir hai aashiq ki
zillat bhi mili ham ko ulfat ke fasaane se
mere jaise ban jaaoge jab ishq tumhein ho jaaegaa
divaaron se sar Takraaoge jab ishq tumhein ho jaaegaa
main na piitaa to tiraa likhkhaa ghalat ho jaataa
tere likkhe ko nibhaayaa kyaa khataa ki main ne
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai