Shayari
dost ban ban ke mile mujh ko miTaane vaale
main ne dekhe hain kai rang zamaane vaale
rusvaai to vaise bhi taqdir hai aashiq ki
zillat bhi mili ham ko ulfat ke fasaane se
رسوائی تو ویسے بھی تقدیر ہے عاشق کی
ذلت بھی ملی ہم کو الفت کے فسانے سے
रुस्वाई तो वैसे भी तक़दीर है आशिक़ की
ज़िल्लत भी मिली हम को उल्फ़त के फ़साने से

dost ban ban ke mile mujh ko miTaane vaale
main ne dekhe hain kai rang zamaane vaale
tum nahin gham nahin sharaab nahin
aisi tanhaai kaa javaab nahin
gaahe gaahe ise paDhaa kijiye
dil se behtar koi kitaab nahin
mere jaise ban jaaoge jab ishq tumhein ho jaaegaa
divaaron se sar Takraaoge jab ishq tumhein ho jaaegaa
main na piitaa to tiraa likhkhaa ghalat ho jaataa
tere likkhe ko nibhaayaa kyaa khataa ki main ne
khvaab saare takiye pe chain ki hon sote niind
'mir' ji ke jaisaa hi rog ham ne paalaa ho
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
khudi se pyaar karo aur khudaa ke saath raho
ye tum se kis ne kahaa bevafaa ke saath raho
sazaaein dekhtaa huun aur sochtaa huun main
jahaan mein ishq se baDh kar koi bhi jurm nahin
nafrat se mohabbat ko sahaare bhi mile hain
tufaan ke daaman mein kinaare bhi mile hain
hamaari zindagi kyaa hai mohabbat hi mohabbat hai
tumhaaraa bhi yahi dastur ban jaae to achchhaa ho