Shayari
TuuT paDti thiin ghaTaaein jin ki aankhein dekh kar
vo bhari barsaat mein tarse hain paani ke liye
zulfein idhar khulin adhar aansu umanD paDe
hain sab ke apne apne ravaabit ghaTaa ke saath
زلفیں ادھر کھلیں ادھر آنسو امنڈ پڑے
ہیں سب کے اپنے اپنے روابط گھٹا کے ساتھ
ज़ुल्फ़ें इधर खुलीं अधर आँसू उमँड पड़े
हैं सब के अपने अपने रवाबित घटा के साथ

TuuT paDti thiin ghaTaaein jin ki aankhein dekh kar
vo bhari barsaat mein tarse hain paani ke liye
pahle chaadar ki havas mein paanv phailaae bahut
ab ye dukh hai paanv kyuun chaadar se baahar aa gayaa
shahr ke aabaad sannaaTon ki vahshat dekh kar
dil ko jaane kyaa huaa main shaam se ghar aa gayaa
hamaare dam se hai raushan dayaar-e-fikr-o-sukhan
hamaare baad ye galiyaan dhuaan dhuaan hongi
man dhan sab qurbaan kiyaa ab sar kaa saudaa baaqi hai
ham to bike the aune-paune pyaar ki qimat kam na hui
tere shaidaa bhi hue ishq-e-tamaashaa bhi hue
tere divaane tire shahr mein rusvaa bhi hue
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn tanhaa nahin haqdaar vafaa kaa 'mohsin'
ishq ne bhi kaf-e-afsos male hain barson
manzil na mili to gham nahin hai
apne ko to kho ke paa gayaa huun