Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
aavaazon se jism huaa nam
jaise ik naa-binaa saa gham
آوازوں سے جسم ہوا نم
جیسے اک نا بینا سا غم
आवाज़ों से जिस्म हुआ नम
जैसे इक ना-बीना सा ग़म
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
main ne dekhi hai amir-e-shahr ki vo muflisi
daulat-e-duniyaa thi lekin gham kaa sarmaaya na thaa
log phirte hain bhare shahr ki tanhaai mein
sard jismon ki salibon pe uThaa kar chehre
hichkiyaan raat dard tanhaai
aa bhi jaao tasalliyaan de do