Shayari
miTTi ki fazilat pe bahut she'r kahe hain
sone se likhaa jaaegaa divaan hamaaraa
ham aadmi ki tarah ji rahe hain sadiyon se
chalo 'salim' ab insaan ho ke dekhte hain
ہم آدمی کی طرح جی رہے ہیں صدیوں سے
چلو سلیمؔ اب انسان ہو کے دیکھتے ہیں
हम आदमी की तरह जी रहे हैं सदियों से
चलो 'सलीम' अब इंसान हो के देखते हैं

miTTi ki fazilat pe bahut she'r kahe hain
sone se likhaa jaaegaa divaan hamaaraa
aankhein taDap rahi hain miri kuchh khayaal kar
band-e-qabaa ko khol badan ko bahaal kar
kaun sukhe hue phulon ki taraf dekhtaa hai
zakhm thoDe se hare hon to numaaish karein ham
huun paarsaa tire pahlu mein shab guzaar ke bhi
main be-libaas nahin pairahan utaar ke bhi
ham ko uDne ke tariqe na sikhaao ham log
peD se aae hain pinjre se nahin aae hain
umr bhar jis ke liye peT se baandhe patthar
ab vo gin gin ke khilaataa hai nivaale mujh ko
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kahte hue saaqi se hayaa aati hai varna
hai yuun ki mujhe durd-e-tah-e-jaam bahut hai
chashm pur-nam zulf aashufta nigaahein be-qaraar
is pashimaani ke sadqe main pashimaan ho gayaa
daastaan-e-gham-e-dil un ko sunaai na gai
baat bigDi thi kuchh aisi ki banaai na gai