Shayari
aaj bhi hai vahi maqaam aaj bhi lab pe un kaa naam
manzil-e-be-shumaar-gaam apne safar ko kyaa karun
mahv yuun ho gae alfaaz-e-duaa vaqt-e-duaa
haath se zarf-e-talab chhuT gayaa ho jaise
محو یوں ہو گئے الفاظ دعا وقت دعا
ہاتھ سے ظرف طلب چھوٹ گیا ہو جیسے
महव यूँ हो गए अल्फ़ाज़-ए-दुआ वक़्त-ए-दुआ
हाथ से ज़र्फ़-ए-तलब छूट गया हो जैसे

aaj bhi hai vahi maqaam aaj bhi lab pe un kaa naam
manzil-e-be-shumaar-gaam apne safar ko kyaa karun
dil ne siine mein kuchh qaraar liyaa
jab tujhe khuub saa pukaar liyaa
mai-khaana-e-hasti mein saaqi ham donon hi mujrim hain shaayad
khum tu ne bachaa ke rakkhe the paimaane main ne toDe hain
apni khuddaari salaamat dil kaa aalam kuchh sahi
jis jagah se uTh chuke hain us jagah phir jaaein kyaa
miT chuke jo bhi the tauba-shikani ke asbaab
ab na mai-khaana na paimaana na shisha na subu
bahaar-e-gulistaan ham ko na pahchaane taajjub hai
gulon ke rukh pe chhiDkaa hai bahut khun-e-jigar ham ne
kyuun nahin hote munaajaaton ke maani munkashif
ramz ban jaataa hai kyuun harf-e-duaa ham se suno
muddaaa izhaar se khultaa nahin hai
ye zabaan-e-be-zabaani aur hai
barson se khaDaa huun haath uThaae
taasir-e-duaa kaa muntazir huun
bahan ki iltijaa maan ki mohabbat saath chalti hai
vafaa-e-dostaan bahr-e-mashaqqat saath chalti hai
yahi duaa hai vo meri duaa nahin suntaa
khudaa jo hotaa agar kyaa khudaa nahin suntaa
baat kyuun khoein iltijaa kar ke
tum se ummid-e-iltifaat nahin