Shayari
kaise ho kyaa hai haal mat puchho
mujh se mushkil savaal mat puchho
koi shai ek si nahin rahti
umr Dhalti hai gham badalte hain
کوئی شے ایک سی نہیں رہتی
عمر ڈھلتی ہے غم بدلتے ہیں
कोई शय एक सी नहीं रहती
उम्र ढलती है ग़म बदलते हैं

kaise ho kyaa hai haal mat puchho
mujh se mushkil savaal mat puchho
kuchh to apne liye bhi rakhnaa hai
zakhm auron ko kyuun dikhaaein sab
ham jo pahle kahin mile hote
aur hi apne silsile hote
zindagi is qadar kaThin kyuun hai
aadmi ki bhalaa khataa kyaa hai
ye alag baat ki vo mujh se khafaa rahtaa hai
main ik insaan huun aur mujh mein khudaa rahtaa hai
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
saans letaa huun to dam ghuTtaa hai
kaisi be-dard havaa hai yaaro
vaqt kaa ye moD kaisaa hai ki tujh se mil ke bhi
tujh ko kho dene kaa gham kuchh aur gahraa ho gayaa
ye main thaa yaa mire andar kaa khauf thaa jis ne
tamaam umar di tanhaai ki sazaa mujh ko