Shayari
kisi ne jaan hi luTaa di vafaaon ki khaatir
tum hi bataao ki qissa ye kis kitaab kaa hai
ab mujh mein koi baat nai DhunDhne vaalo
ab mujh mein koi baat puraani bhi nahin hai
اب مجھ میں کوئی بات نئی ڈھونڈھنے والو
اب مجھ میں کوئی بات پرانی بھی نہیں ہے
अब मुझ में कोई बात नई ढूँढने वालो
अब मुझ में कोई बात पुरानी भी नहीं है

kisi ne jaan hi luTaa di vafaaon ki khaatir
tum hi bataao ki qissa ye kis kitaab kaa hai
lambi hai bahut aaj ki shab jaagne vaalo
aur yaad mujhe koi kahaani bhi nahin hai
vo bhi na aayaa umr-e-guzishta ke misl hi
ham bhi khaDe rahe dar-o-divaar ki tarah
tiri duaaein bhi shaamil hain koshishon mein miri
musibaton kaa na Talnaa ajiib lagtaa hai
siyaah raat ke pahlu mein jism ke andar
kisi gunaah ki khvaahish ko paalte rahnaa
ham kisi aur vaqt ke hain asiir
subh ke shaam ke rahe hi nahin