Shayari
kisi ne jaan hi luTaa di vafaaon ki khaatir
tum hi bataao ki qissa ye kis kitaab kaa hai
lambi hai bahut aaj ki shab jaagne vaalo
aur yaad mujhe koi kahaani bhi nahin hai
لمبی ہے بہت آج کی شب جاگنے والو
اور یاد مجھے کوئی کہانی بھی نہیں ہے
लम्बी है बहुत आज की शब जागने वालो
और याद मुझे कोई कहानी भी नहीं है

kisi ne jaan hi luTaa di vafaaon ki khaatir
tum hi bataao ki qissa ye kis kitaab kaa hai
vo bhi na aayaa umr-e-guzishta ke misl hi
ham bhi khaDe rahe dar-o-divaar ki tarah
tiri duaaein bhi shaamil hain koshishon mein miri
musibaton kaa na Talnaa ajiib lagtaa hai
siyaah raat ke pahlu mein jism ke andar
kisi gunaah ki khvaahish ko paalte rahnaa
milte ho to ab tum bhi bahut rahte ho khaamosh
kyaa tum ko bhi ab meri khabar hone lagi hai
ham kisi aur vaqt ke hain asiir
subh ke shaam ke rahe hi nahin
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
phir gai ik aur hi duniyaa nazar ke saamne
baiThe baiThe kyaa bataaun kyaa mujhe yaad aa gayaa
bhuli nahin ujDe hue gulshan ki bahaarein
haan yaad hain vo din ki hamaaraa bhi khudaa thaa
sukh mein hotaa hai haafiza bekaar
dukh mein allaah yaad aataa hai
dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diyaa
jab chali sard havaa main ne tujhe yaad kiyaa