Shayari
kisi ne jaan hi luTaa di vafaaon ki khaatir
tum hi bataao ki qissa ye kis kitaab kaa hai
ek din us ki nigaahon se bhi gir jaaeinge
us ke bakhshe hue lamhon pe basar karte hue
ایک دن اس کی نگاہوں سے بھی گر جائیں گے
اس کے بخشے ہوئے لمحوں پہ بسر کرتے ہوئے
एक दिन उस की निगाहों से भी गिर जाएँगे
उस के बख़्शे हुए लम्हों पे बसर करते हुए

kisi ne jaan hi luTaa di vafaaon ki khaatir
tum hi bataao ki qissa ye kis kitaab kaa hai
lambi hai bahut aaj ki shab jaagne vaalo
aur yaad mujhe koi kahaani bhi nahin hai
vo bhi na aayaa umr-e-guzishta ke misl hi
ham bhi khaDe rahe dar-o-divaar ki tarah
tiri duaaein bhi shaamil hain koshishon mein miri
musibaton kaa na Talnaa ajiib lagtaa hai
siyaah raat ke pahlu mein jism ke andar
kisi gunaah ki khvaahish ko paalte rahnaa
ham kisi aur vaqt ke hain asiir
subh ke shaam ke rahe hi nahin