Shayari
kitnaa hai bad-nasib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamin bhi na mili ku-e-yaar mein
ab ki jo raah-e-mohabbat mein uThaai taklif
sakht hoti hamein manzil kabhi aisi to na thi
اب کی جو راہ محبت میں اٹھائی تکلیف
سخت ہوتی ہمیں منزل کبھی ایسی تو نہ تھی
अब की जो राह-ए-मोहब्बत में उठाई तकलीफ़
सख़्त होती हमें मंज़िल कभी ऐसी तो न थी

kitnaa hai bad-nasib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamin bhi na mili ku-e-yaar mein
dekh dil ko mire o kaafir-e-be-pir na toD
ghar hai allaah kaa ye is ki to taamir na toD
kyaa taab kyaa majaal hamaari ki bosa lein
lab ko tumhaare lab se milaa kar kahe baghair
khvaab meraa hai ain bedaari
main to us mein bhi dekhtaa kuchh huun
ye qissa vo nahin tum jis ko qissa-khvaan se suno
mire fasaana-e-gham ko miri zabaan se suno
bulbul ko baaghbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likkhi thi fasl-e-bahaar mein
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
khatm ho jaate jo husn o ishq ke naaz o adaa
shaaeri bhi khatm ho jaati nubuvvat ki tarah
honaa hai dard-e-ishq se gar lazzat-aashnaa
dil ko kharaab-e-talkhi-e-hijraan to kijiye
mohabbat ek paakiza amal hai is liye shaayad
simaT kar sharm saari ek bose mein chali aai
saat sanduqon mein bhar kar dafn kar do nafratein
aaj insaan ko mohabbat ki zarurat hai bahut