Shayari
khatt-e-peshaani mein saffaak azal ke din se
teri talvaar se likkhi hai shahaadat meri
S
Shababmain tire husn kaa khalvat mein tamaashaai huun
aaina siikh na jaae kahin hairat meri
میں ترے حسن کا خلوت میں تماشائی ہوں
آئینہ سیکھ نہ جائے کہیں حیرت میری
मैं तिरे हुस्न का ख़ल्वत में तमाशाई हूँ
आईना सीख न जाए कहीं हैरत मेरी
naaz kar naaz tire naaz pe hai naaz mujhe
meri tanhaai hai partav tiri yaktaai kaa
mohabbat karne vaale dard mein tanhaa nahin hote
jo ruThoge kabhi mujh se to apnaa dil dukhaaoge
yaar tanhaa ghar mein hai afsos lekin ham nahin
huur to hai gulshan-e-firdaus mein aadam nahin
nazar aataa nahin ab ghar mein vo bhi uf re tanhaai
ik aaine mein pahle aadmi thaa meri surat kaa
ek lamhe ke liye tanhaa nahin hone diyaa
khud ko apne saath rakkhaa jis jahaan ki sair ki
mujhe ai rahnumaa ab chhoD tanhaa
main khud ko aazmaanaa chaahtaa huun