Shayari
kabhi to un ko hamaaraa khayaal aaegaa
ham is umiid pe tark-e-vafaa nahin karte
S
Shafqat Kazminai bahaar kaa muzhda bajaa sahi lekin
abhi to agli bahaaron kaa zakhm taaza hai
نئی بہار کا مژدہ بجا سہی لیکن
ابھی تو اگلی بہاروں کا زخم تازہ ہے
नई बहार का मुज़्दा बजा सही लेकिन
अभी तो अगली बहारों का ज़ख़्म ताज़ा है
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
khvaab jitne dekhne hain aaj saare dekh lein
kyaa bharosa kal kahaan paagal havaa le jaaegi
ye kah ke us ne gul kiyaa sham-e-mazaar ko
jab so gae to kyaa hai zarurat charaagh ki