Shayari
juun mauj haath maariye kyaa bahr-e-ishq mein
saahil 'nasir' duur hai aur dam nahin rahaa
bisaan-e-chob-o-naqqaaraa hain khaar o aabla-paai
ba-vaadi-e-junun-angez naubat-khaana rakhte hain
بسان چوب و نقارا ہیں خار و آبلہ پائی
بہ وادیٔ جنوں انگیز نوبت خانہ رکھتے ہیں
बिसान-ए-चोब-ओ-नक़्क़ारा हैं ख़ार ओ आबला-पाई
ब-वादी-ए-जुनूँ-अंगेज़ नौबत-ख़ाना रखते हैं

juun mauj haath maariye kyaa bahr-e-ishq mein
saahil 'nasir' duur hai aur dam nahin rahaa
gale mein tu ne vahaan motiyon kaa pahnaa haar
yahaan pe ashk-e-musalsal gale kaa haar rahaa
aataa hai to aa vaada-faraamosh vagarna
har roz kaa ye lait-o-laal jaae to achchhaa
mere naale ke na kyuun ho charkh-e-akhzar zer-e-paa
khutba khvaan-e-ishq hai rakhtaa hai mimbar zer-e-paa
mushkil hai rok aah-e-dil-e-daaghdaar ki
kahte hain sau sunaar ki aur ik luhaar ki
tire hi naam ki simran hai mujh ko aur tasbih
tu hi hai vird har ik subh-o-shaam aashiq kaa