Shayari
ba-naam-e-ishq ik ehsaan saa abhi tak hai
vo saada-lauh hamein chaahtaa abhi tak hai
faqat zamaan o makaan mein zaraa saa farq aayaa
jo ek masala-e-dard thaa abhi tak hai
فقط زمان و مکاں میں ذرا سا فرق آیا
جو ایک مسئلۂ درد تھا ابھی تک ہے
फ़क़त ज़मान ओ मकाँ में ज़रा सा फ़र्क़ आया
जो एक मसअला-ए-दर्द था अभी तक है

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kabhi chhoDi hui manzil bhi yaad aati hai raahi ko
khaTak si hai jo siine mein gham-e-manzil na ban jaae
saamne umr paDi hai shab-e-tanhaai ki
vo mujhe chhoD gayaa shaam se pahle pahle
gham hai aavaara akele mein bhaTak jaataa hai
jis jagah rahiye vahaan milte-milaate rahiye