Shayari
zabaanein thak chukin patthar hue kaan
kahaani an-kahi thi an-kahi hai
jhuTi baatein rahne do
kaun kisi ko yaad aayaa
جھوٹی باتیں رہنے دو
کون کسی کو یاد آیا
झूटी बातें रहने दो
कौन किसी को याद आया

zabaanein thak chukin patthar hue kaan
kahaani an-kahi thi an-kahi hai
shaayad isi baais huiin patthar miri aankhein
jo kuchh ki mujhe dekhnaa thaa dekh liyaa hai
khalq be-parvaa khudaa bandon se tang aayaa huaa
main akelaa phir rahaa huun hashr ke maidaan mein
ek se manzar dekh dekh kar aankhein dukhne lagti hain
is raste par peD bahut hain aur haraa koi bhi nahin
main sun rahaa huun magar dusron ko kaise sunaaun
jo giit gunjtaa rahtaa hai mere kaanon mein
bharpur nahin hain kisi chehre ke khad-o-khaal
dekhaa nahin vo chaand jo puuraa nazar aae
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
tum se mile to khud se ziyaada
tum ko akelaa paayaa ham ne
uThaa sakte nahin jab chuum kar hi chhoDnaa achchhaa
mohabbat kaa ye patthar is dafa bhaari ziyaada hai