Shayari
meraa azm itnaa buland hai ki paraae sholon kaa Dar nahin
mujhe khauf aatish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jalaa na de
kyaa asar thaa jazba-e-khaamosh mein
khud vo khich kar aa gae aaghosh mein
کیا اثر تھا جذبۂ خاموش میں
خود وہ کھچ کر آ گئے آغوش میں
क्या असर था जज़्बा-ए-ख़ामोश में
ख़ुद वो खिच कर आ गए आग़ोश में

meraa azm itnaa buland hai ki paraae sholon kaa Dar nahin
mujhe khauf aatish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jalaa na de
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
kaafi hai mire dil ki tasalli ko yahi baat
aap aa na sake aap kaa paighaam to aayaa
kal raat zindagi se mulaaqaat ho gai
lab thartharaa rahe the magar baat ho gai
lamhe udaas udaas fazaaein ghuTi ghuTi
duniyaa agar yahi hai to duniyaa se bach ke chal
shaguftagi-e-dil-e-kaarvaan ko kyaa samjhe
vo ik nigaah jo uljhi hui bahaar mein hai
har ek baat ko chup-chaap kyuun sunaa jaae
kabhi to hausla kar ke nahin kahaa jaae
ghurur-e-husn na kar jazba-e-zulekhaa dekh
kiyaa hai ishq ne yusuf ghulaam aashiq kaa
tu mohabbat se koi chaal to chal
haar jaane kaa hausla hai mujhe
nisyah-o-naqd-e-do-aalam ki haqiqat maalum
le liyaa mujh se miri himmat-e-aali ne mujhe
khush hote hain ham log agar koi hasina
is umr ham par koi tohmat hi lagaae
hamaari baat kaaTi jaa rahi hai
kisi kaa hausla baDhtaa rahaa hai