Shayari
ye maajraa-e-mohabbat samajh mein aa na sakaa
vo haath aae to main haath unhein lagaa na sakaa
S
Shakir Kalkattvizaraa chashm-e-karam se dekh lo tum
sahaaraa DhunDhtaa huun zindagi kaa
ذرا چشم کرم سے دیکھ لو تم
سہارا ڈھونڈھتا ہوں زندگی کا
ज़रा चश्म-ए-करम से देख लो तुम
सहारा ढूँढता हूँ ज़िंदगी का
ye maajraa-e-mohabbat samajh mein aa na sakaa
vo haath aae to main haath unhein lagaa na sakaa
rone ke badle apni tabaahi pe hans diyaa
'shaakir' ne is tarah gila-e-aasmaan kiyaa
qasam hi nahin hai faqat is kaa sheva
taghaaful bhi hai ek andaaz us kaa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
adaa huaa na qarz aur vajud khatm ho gayaa
main zindagi kaa dete dete suud khatm ho gayaa
ye zamaana vo hai jis mein hain buzurg o khurd jitne
unhein farz ho gayaa hai gila-e-hayaat karnaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa