Shayari
Dubtaa huaa suraj de gayaa sazaa aisi
kho gai andheron mein raushni ki khush-fahmi
S
Shams Ramzifazaa mein uDte parinde ki khair ho yaarab
ki us kaa tair baDaa hai magar kamaan hai tang
فضا میں اڑتے پرندے کی خیر ہو یا رب
کہ اس کا تیر بڑا ہے مگر کمان ہے تنگ
फ़ज़ा में उड़ते परिंदे की ख़ैर हो यारब
कि उस का तैर बड़ा है मगर कमान है तंग
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge