Shayari
peD ke niche zaraa si chhaanv jo us ko mili
so gayaa mazdur tan par boriyaa oDhe hue
miri aankhein yahaan tanhaa paDi hain
to us kaa kaun pichhaa kar rahaa hai
مری آنکھیں یہاں تنہا پڑی ہیں
تو اس کا کون پیچھا کر رہا ہے
मिरी आँखें यहाँ तन्हा पड़ी हैं
तो उस का कौन पीछा कर रहा है

peD ke niche zaraa si chhaanv jo us ko mili
so gayaa mazdur tan par boriyaa oDhe hue
saron pe oDh ke mazdur dhuup ki chaadar
khud apne sar pe use saaebaan samajhne lage
sab ek jaisi hain duniyaa ki ‘auratein lekin
tumhaare Dasne kaa andaaz mukhtalif Thahraa
qafas ke band parinde hain jin ki aankhon mein
asiri ghumti rahti hai qaid-khaanon ki
shajar pe baiThe parindon kaa shor kaaTtaa hai
darakht ko mire ghar se ukhaaD de koi
kisi ko maar ke khush ho rahe hain dahshat-gard
kahin pe shaam-e-gharibaan kahin divaali hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
tu kahaan rahti hai puchhaa thaa kisi ne ek din
main ghamon ke saath rahti huun khushi kahne lagi
kiyaa dard-o-gham ne mujhe naa-umid
ki majnun ko ye hi thiin bimaariyaan
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa